Guftugu Achchhi Lagi Zauq E Nazar Achchha Laga,
Muddaton ke baad koi ham-safar achchha laga.
Har tarah ki be-sar-o-samaniyon ke bavajud,
Aaj vo aaya to mujh ko apna ghar achchha laga.
Ahmad Faraz
Guftugu Achchhi Lagi Zauq E Nazar Achchha Laga,
Muddaton ke baad koi ham-safar achchha laga.
Har tarah ki be-sar-o-samaniyon ke bavajud,
Aaj vo aaya to mujh ko apna ghar achchha laga.
Ahmad Faraz
One of the best Nazm of Janaab Amjad Islam Amjad, Jo utar ke zeena-e-shaam se teri chashm-e-khush mein sama gaye.
wahi jalte bujhte se mehar-o-maah mere baam-o-dar ko saja gaye.
Wo jo geet tumne suna nahin, meri umr bhar ka riyaaz tha, mere dard ki thi daastaan jise tum hansi mein uda gaye.
One of the most amazing poetry/shayari by Jaun Eliya. Yaaron kuch to zikr karo tum uski qayamat bahon ka, wo jo simatte honge unme wo to mar jaate honge..
Kamal-e-zabt ko ḳhud bhi to azmaungi
Main apne haath se us ki dulhan sajaungi
Supurd kar ke use chandni ke hathon mein
Main apne ghar ke andheron ko laut aungi
Dukh fasana nahin ki tujh se kahein
Dil bhi maana nahin ki tujh se kahein
Aaj tak apni bekali ka sabab
Khud bhi jaana nahin ki tujh se kahein
Ye ek baat samajhne mein raat hogayi hai, Main us se jeet gaya hun ki maat ho gai hai. A beautiful heart touching shayari by Tehzeeb Hafi.